zindagi hai ajal to tu bhi nahin

zindagi hai ajal to tu bhi nahin
sochta hun atal to tu bhi nahin

tere hote bhi sab kharab hi tha
aur phir aaj-kal to tu bhi nahin

ai shagufon mein rang bharte shakhs
is udasi ka hal to tu bhi nahin

jo teri justuju mein chhod diya
us ka nemul-badal to tu bhi nahin

mujh ko ye jaan kar udasi hui
kuchh masail ka hal to tu bhi nahin

main bhi 'zoraiz' koi zamzam hun
aur phir ganga-jal to tu bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close