zindagi ko haram mat karna shauq ko be-lagam mat karna shohraten bhi buri balaen hain in ko tum apne nam mat karna ho na jae guman sajdon ka itna jhuk kar salam mat karna log tujh ko sahal samajhne lagen khud ko itna bhi aam mat karna jin se ruswaiyan ho daman mein bhul kar bhi wo kaam mat karna zar-paraston se rah-o-rasm ho par zehn-o-dil ko ghulam mat karna jis mein ho zarf ki kami 'khurshid' us ka tum ehtiram mat karna