zindagi kya hai muamma hai ki afsana hai har taraf jalwa-badaman rukh-e-jaanana hai mera gham us ke tabassum pe giran ho shayad jis ki yaadon se ye dil aaj pari-khana hai dil pe us shokh ki nazuk-badani naqsh hui jis ke har bol se aabaad ye virana hai puchhte kash kabhi hum se butan-e-khud-sar dil ka kya haal hai kyon hath mein paimana hai kyon hai ahbab se ye aam shikayat sab ko kis liye un ka har andaz harifana hai naseha baat teri kyon na 'asar' par ho giran jitna diwana hai wo utna hi farzana hai