zindagi se umr-bhar tak chalne ka wada kiya ai meri kambakht sanso hae tum ne kya kiya ibtida-e-hosh se achchha-bhala patthar tha main ek nazar bas dekh kar tu ne mujhe dariya kiya ek bas khamosh se lamhe ki khwahish hi to thi aur usi khwahish ne lekin shor phir kitna kiya lutf ab dene lagi hai ye udasi bhi mujhe shukriya tera ki tu ne jo kiya achchha kiya sochta hun kaun se ilzam aur ab rah gae han tujhe chaha tujhe puja tera sajda kiya di nahin taswir apni tu ne diwane ko jab yun kiya wallah us ne khud ko hi tujh sa kiya kab talak aakhir ye sahti rahti khwabon ki tapish tang aa kar nind ne palkon se lo tauba kiya