zindagi yun hui basar tanha

By gulzarOctober 30, 2020
zindagi yun hui basar tanha
qafila sath aur safar tanha
apne sae se chaunk jate hain
umr guzri hai is qadar tanha


raat bhar baaten karte hain tare
raat kate koi kidhar tanha
dubne wale par ja utre
naqsh-e-pa apne chhod kar tanha


din guzarta nahin hai logon mein
raat hoti nahin basar tanha
hum ne darwaze tak to dekha tha
phir na jaane gae kidhar tanha


47850 viewsghazalEnglish