ziya-e-rang bhi kuchh to dosti karo yar

ziya-e-rang bhi kuchh to dosti karo yar
bahut andhera hai kamre mein raushni karo yar

yahan faraghaten bar-e-garan hain rishton par
qarabaton ka taqaza hai naukri karo yar

bharam nigah mein rakkho waqar-e-qamat ka
bada hai zarf to phir baat bhi badi karo yar

chahakti shab mein khamoshi udas jangal hai
labon ke phul mahakne do baat bhi karo yar

jahan bala-e-fana ghat mein khadi hai wahan
ye chaar sansen ghanimat hain zindagi hain karo yar

payam likkho mohabbat se aur bhejo use
bada hasin hai ye kaam ise abhi karo yar

tilism-e-fikr se aage hain ishraten 'adil'
ye qaid-khana gira dalo zindagi karo yar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close