zor yaro aaj hum ne fath ki jang-e-falak yak tamanche mein kabudi kar diya rang-e-falak garmi-e-dukan par apni shishagar sarkash na ho dhundhta phirta hai tere sar ke tain sang-e-falak kaj-rawi se us ki gar aaqil hai tu ghafil na rah in dinon aur hi nazar aata hai kuchh dhang-e-falak tu jo tul baithe to palle chahiye hon mahr-o-mah aisi mizan ke tain lazim hai passang-e-falak shauq hai gar sair-e-baala ka to 'hatim' ho sawar kahkashan se khinch kar laya hun ab tang-e-falak