zulm karte hue wo shakhs larazta hi nahin jaise qahhaar ke mani wo samajhta hi nahin jitna bhi bant sako bant do is daulat ko ilm ek aisa khazana hai jo ghatta hi nahin hindu milta hai musalman bhi isai bhi lekin is daur mein insan to milta hi nahin mera bachcha bhi alag fikr ka malik nikla jo kabhi naqsh-e-qadam dekh ke chalta hi nahin is qadar sard-mizaji hai musallat hum par koi bhi baat ho ab khun ubalta hi nahin kis tarah utrega aangan mein qamar khushiyon ka gham ka suraj kabhi diwar se dhalta hi nahin mit nahin sakta kabhi daman-e-tarikh se dagh khun-e-mazlum kabhi raegan hota hi nahin