zulm se darguzar nahin aata han mujhe ye hunar nahin aata jab talak mere sar nahin aata un ka ilzam bar nahin aata tab falak par qamar nahin aata yar jab baam par nahin aata farq-e-zer-o-zabar nahin aata mujh ko kuchh bhi nazar nahin aata hijraton ki andheri rahon mein chalta jata hun ghar nahin aata chashm-e-nargis udas rahti hai ab koi dida-war nahin aata baat main saf saf karta hun mujh ko ye gar magar nahin aata zindagi itni der mohlat de jab talak nama-bar nahin aata jaane kab se hun muntazir us ka par mera muntazar nahin aata ishq deta hai khud khabar apni le ke qasid khabar nahin aata umr bhi laut kar nahin aati waqt bhi laut kar nahin aata phir na mil paunga zamane se yaad khud ko agar nahin aata raushni se bane jo hote hain un ka saya nazar nahin aata waqt wo mehman hai 'hassan' jo kabhi laut kar nahin aata