zulmat-kushi ka qasd kiya aur chal pade mutthi mein jugnuon ko liya aur chal pade aati rahegi maut ko aana jahan pe hai hum ne to apna zahar piya aur chal pade sahra se shahar aane mein aur ehtimam kya daman ka apne chaak siya aur chal pade hum se badan-badoshon ka rakht-e-safar kahan bas apna khak-dan liya aur chal pade ujlat thi hum ko chand ka kya karte intizar aankhon ko shab charagh kiya aur chal pade