ho gai hai pir parwat si pighalni chahiye is himale se koi ganga nikalni chahiye aaj ye diwar pardon ki tarah hilne lagi shart lekin thi ki ye buniyaad hilni chahiye har sadak par har gali mein har nagar har ganw mein hath lahraate hue har lash chalni chahiye sirf hangama khada karna mera maqsad nahin meri koshish hai ki ye surat badalni chahiye mere sine mein nahin to tere sine mein sahi ho kahin bhi aag lekin aag jalni chahiye