kisi ke khat ka bahut intizar karte hain hamari chhat pe kabutar nahin utarte hain khushi ke pyar ke gul ke bahaar ke lamhe hamein mile bhi to pal bhar nahin thaharte hain kisi taraf se bhi aaoge hum ko paoge hamare ghar se sabhi raste guzarte hain ye jaanta hai samundar mein kudne wala jo dubte hain wahi log phir ubharte hain kahin fasad kahin hadse kahin dahshat gharon se log nikalte hue bhi darte hain