jaise islam mein hai rasm musalmani ki

jaise islam mein hai rasm musalmani ki
waise hi ishq mein hai chaak-garebani ki

gat yahi khun ki hoti hai jo hai pani ki
rut badal jati hai jab fitrat-e-insani ki

hashr mein ho gai sehhat maraz-e-isyan se
ek khurak dawa pi ke pashemani ki

sukh kar ho chuka hai zard mariz-e-gham-e-hijr
fasl ab katne hi wali hai pareshani ki

donon darkhwasten us shokh ne kharij kar din
pahle to wasl ki aur phir nazar-e-sani ki

zindagi kat di jal jal ke jahan mein 'machis'
waqai tu ne badi ishq mein qurbani ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close