mere ghar ko aati bal khati pagdandi kinare kai rang ke phul khile hue hain main aate jate jin se ham-kalam hoti hun ki aaj ke mashini daur mein wo mere aafaqi dakiye hain jin ki khushbu mein mere khwabon ki tabir pinhan hai jin ke rangon mein mere kunwar mere kanhaiya ke hone ka nishan nihan hai main har roz jin ke daman mein apni taqdir ki shatranj bichhati hun un ke mukh pe khile rang ko sidq-e-dil se waqt ka ugla mohra gardanti hun mere phul mere dakiye jo kabhi jamuni rang odh kar aamad-e-bahaar ka mitha git bante hain jo kabhi nile rang mein gunguna kar dur dishaon mein riste malal ki sada bante hain jo kabhi safed rang mein hans kar meri be-sud mohabbaton ka madfan bante hain mujhe un phulon ki zaban ka ilm hai main rangon se achchhe se waqif hun ki main wo zamin-zadi hun jis ki bhuri aankhon mein sitaron ki raushni mitti ke pardon se dhaki padi hai