is bar wo mila to ajab us ka rang tha alfaz mein tarang na lahja dabang tha ek soch thi ki bikhri hui khal-o-khat mein thi ek dard tha ki jis ka shahid ang ang tha ek aag thi ki rakh mein poshida thi kahin ek jism tha ki ruh se masruf-e-jang tha main ne kaha ki yar tumhein kya hua hai ye us ne kaha ki umr-e-rawan ki ata hai ye main ne kaha ki umr-e-rawan to sabhi ki hai us ne kaha ki fikr-o-nazar ki saza hai ye main ne kaha ki sochta rahta to main bhi hun us ne kaha ki aaina rakkha hua hai dekha to mera apna hi aks-e-jali tha wo wo shakhs main tha aur 'himayat-ali' tha wo
This is a great dabang shayari in urdu. Please share if you liked this!!!