main aaj sawere jag utha dekha ki hai har-su sannata chup-chap hai sara ghar aangan bahar se band hai darwaza sab bhai bahan biwi bachche aakhir hain kahan hai kya qissa itne mein ajab ek baat hui nagah jo dekha aaina ek aadmi mujh ko aaya nazar mujh se hi magar milta-julta do sing hain us ke sar pe uge ye dew hai koi ya dewta tum kaun ho ye puchha main ne par koi na mujh ko jawab mila main kanp utha thar thar thar thar socha ki karun jhuk kar sajda itne mein hui ek aahat si main sun ke yakayak chaunk utha ab der hui uthiye papa han mujh ko daftar jaana hai us khwab ka lekin kya hoga