darwaze pe khat se hui ek aawaz aur main chaunk gai zarur hoga aaj ka akhbar darwaza khol kar dekha mera andaza sahi nahin tha wahan akhbar pada nahin tha wahan tha aag ka ek gola us mein lipti thin chand masli hui masum kaliyan kuchh gandi tang galiyan bhuk ka soz aur kuchh zakhira-andoz be-roz-gari ka sannata ghurbat ka chanta sukha aur bazar manda sath mein khud-kushi ka tha phanda sarhadon ke jhagde jang aur ek khatra atom-bomb kitne jangal ghatti hariyali bimari aspatalon ki bad-hali ghotalon ka shor aur rishwat-khori ki hod zulm-o-sitam ki dastanen dhamakon ki aawazen dimagh ghum gaya phir ghaur se dekha are nahin wo aaj ka akhbar hi tha larazte kanpte hathon se utha liya uthana to tha hi na