chandni raat hai jawani par dast-e-gardun mein saghar-e-mahtab nur ban ban ke chhan rahi hai sharab saqi-e-asman piyala-ba-dast main sharab-e-surur se sarmast fikr-e-dozakh na zikr-e-jannat hai main hun aur teri pyari surat hai ras-bhare hont mad-bhari aankhen! kaun farda pe e'tibar kare kaun jannat ka intizar kare jaane kab maut ka payam aae ye masarrat bhi hum se chhin jae daman-e-aql chaak hone de aaj ye qissa pak hone de gham ko na-paedar kar den hum maut ko sharmsar kar den hum lab se lab yun milen ki kho jaen jazb ek dusre mein ho jaen main rahun aur na tu rahe baqi! kis qadar dil-nashin hain lab tere baada-e-ahmarin hain lab tere tere honton ka ras nahin hai ye aab-e-kausar hai angbin hai ye shahad ke ghunt pi raha hun main aaj ki raat ji raha hun main aaj ki raat phir na aaegi!
Please share if you liked this!!!