sathiyo! main ne barson tumhaare liye chand taron bahaaron ke sapne bune husn aur ishq ke git gata raha aarzuon ke aiwan sajata raha main tumhaara mughanni tumhaare liye jab bhi aaya nae git lata raha aaj lekin mere daman-e-chaak mein gard-e-rah-e-safar ke siwa kuchh nahin mere barbat ke sine mein naghmon ka dam ghut gaya tanen chikhon ke ambar mein dab gai hain aur giton ke sur hichkiyan ban gae hain main tumhaara mughanni hun naghma nahin hun aur naghme ki takhliq ka saz-o-saman sathiyo! aaj tum ne bhasm kar diya hai aur main apna tuta hua saz thame sard lashon ke ambar ko tak raha hun mere chaaron taraf maut ki wahshaten nachti hain aur insan ki haiwaniyat jag uthi hai barbariyat ke khun-khar ifrit apne napak jabdon ko khole khun pi pi ke ghurra rahe hain bachche maon ki godon mein sahme hue hain ismaten sar-barahana pareshan hain har taraf shor-e-ah-o-buka hai aur main is tabahi ke tufan mein aag aur khun ke haijaan mein sar-nigun aur shikasta makanon ke malbe se pur raston par apne naghmon ki jholi pasare dar-ba-dar phir raha hun mujh ko amn aur tahzib ki bhik do mere giton ki lai mera sur meri nai mere majruh honton ko phir saunp do sathiyo! main ne barson tumhaare liye inqalab aur baghawat ke naghme alape ajnabi raj ke zulm ki chhanw mein sarfaroshi ke khwabida jazbe ubhaare aur us subh ki rah dekhi jis mein is mulk ki ruh aazad ho aaj zanjir-e-mahkumiyat kat chuki hai aur is mulk ke bahr-o-bar baam-o-dar ajnabi qaum ke zulmat-afshan pharere ki manhus chhanw se aazad hain khet sona ugalne ko bechain hain wadiyan lahlahane ko betab hain kohsaron ke sine mein haijaan hai sang aur khisht be-khwab wa bedar hain un ki aaankhon mein tamir ke khwab hain un ke khwabon ko takmil ka rup do mulk ki wadiyan ghatiyan khetiyan aurten bachchiyan hath phailae khairaat ki muntazir hain in ko amn aur tahzib ki bhik do maon ko un ke honton ki shadabiyan nanhe bachchon ko un ki khushi bakhsh do mulk ki ruh ko zindagi bakhsh do mujh ko mera hunar meri lai bakhsh do aaj sari faza hai bhikari aur main is bhikari faza mein apne naghmon ki jholi pasare dar-ba-dar phir raha hun mujh ko phir mera khoya hua saz do main tumhaara mughanni tumhaare liye jab bhi aaya nae git lata rahunga
This is a great sapne par shayari. True lovers of bajrangi bhaijaan shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore barbad shayari images. Please share if you liked this!!!