aalam kitne

uf ye shabnam se chhalakte hue phulon ke ayagh
is chaman mein hain abhi dida-e-pur-nam kitne

kitne ghunche hain jigar-chaak gulistan mein abhi
har taraf zakhm hain be-minnat-e-marham kitne

kitne sinon mein shikasta hain abhi dil ke rabab
lab-e-khamosh pe hain naghma-e-matam kitne

kitne mathon ke abhi sard hain rangin gulab
gard afshan hain abhi gesu-e-pur-kham kitne

zehn-e-adam mein hai afkar ki duniya aabaad
qalb-e-insan mein amanat hain abhi gham kitne

dhundle dhundle se sitare hain ufuq par larzan
zindagani ke hasin khwab hain mubham kitne

aaj to kakul-e-giti na sanwar jaegi
silsile shauq ke honge abhi barham kitne

jazb honge abhi is khak-e-chaman mein ai dost
ashk ban ban ke guhar-reza-e-shabnam kitne

abhi gunjenge salasil ki sadaen kitni
aur honge abhi zanjir se matam kitne

zindagi rah-e-tasadum mein bhatakti hai abhi
waqt ke lab pe abhi uzr hain paiham kitne

ek zara sabr ki in surkh ghataon ke tale
sar-nigun honge yahan khak pe parcham kitne

lala-o-gul ke tabassum se shafaq phulegi
har taraf rang nazar aaenge baham kitne

khun-e-dil mein hai nihan shola-e-sad-rang-e-bahaar
is gulistan mein hain is raaz ke mahram kitne

inhi zarron se ubhar aaenge kitne mah-o-mehr
isi aalam se sanwar jaenge aalam kitne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close