aankhen ungliyan aur dil

rakh hi rakh hai is dher mein kya rakkha hai
khokhli aankhen jahan bahta raha aab-e-hayat

kab se ek ghaar ki manind padi hain viran
qabr mein sanp ka bil jhank raha ho jaise

rakh hi rakh hai
ungliyan sadiyon ko lamhon mein badalne wali

ungliyan sher thin naghma thin tarannum thin kabhi
ungliyan jin mein tere lams ka jadu tha kabhi

ab to bas sukhi hui nag-phani hon jaise
rakh hi rakh hai

dil ki tha nachti gati hui pariyon ka jahan
an-ginat yaadon ka armanon ka ek shish-mahal

teri taswir darichon pe khadi hansti thi
ab to pighle hue lawe ke siwa kuchh bhi nahin

rakh ke jalte hue dher mein kya paoge
shahr se dur hai shamshan kahan jaoge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close