aaj phir mere dil ko ye aarzu hai na bichhde jo mere ru-ba-ru hai ye mujh se chahat ke wade jata raha hai mera hai yaqin dil-ruba hai ye dil kashmakash mein mubtala hai ki is kaifiyat se guzar chuka hai ye chahat ke dawe bhi sun chuka hai aur bikhre jazbe bhi chun chuka hai is chahne wale ke dil mein main hun main is ka arman dil-o-jigar hun mere bhi dil ke har ek goshe mein ye basa hai shahr-e-tamanna pe chha chuka hai dil mein phir bhi yahi guman hai hai aur koi koi yahan hai kyunki wahi hai mausam wahi sama hai