koi yaad aisi nahin jo mujhe rah chalte hue rok le mera daman pakde mere panw mein ek zanjir si dal de koi bhi aisa bita hua pal nahin mast jhonke ke manind jo gungunata hua dur se aae viran aankhon se lipte kisi bhuli-bisri hui baat ka git gae mere samne ek phaila hua jal hai raston ka qataren hain bijli ke khambon ki unche makanon ki patriyon ki magar koi bhi rasta koi bhi raushni koi khidki kisi ped ka saya aisa nahin hai jise dekh kar mehrban aankh ki muskurahat mujhe yaad aae bhatakti hui ruh ko apni banhon mein le le