kaho hindostan ki jai kaho hindostan ki jai qasam hai khun se sinche hue rangin gulistan ki qasam hai khun-e-dahqan ki qasam khun-e-shahidan ki ye mumkin hai ki duniya ke samundar khushk ho jaen ye mumkin hai ki dariya bahte bahte thak ke so jaen jalana chhod den dozakh ke angare ye mumkin hai rawani tark kar den barq ke dhaare ye mumkin hai zamin-e-pak ab napakiyon ko dho nahin sakti watan ki sham-e-azadi kabhi gul ho nahin sakti kaho hindostan ki jai kaho hindostan ki jai wo hindi naujawan yani alam-bardar-e-azadi watan ki pasban wo tegh-e-jauhar-dar-e-azadi wo pakiza sharara bijliyon ne jis ko dhoya hai wo angara ki jis mein zist ne khud ko samoya hai wo sham-e-zindagani aandhiyon ne jis ko pala hai ek aisi naw tufanon ne khud jis ko sambhaala hai wo thokar jis se giti larza-bar-andam rahti hai wo dhaara jis ke sine par amal ki naw bahti hai chhupi khamosh aahen shor-e-mahshar ban ke nikli hain dabi chingariyan khurshid-e-khawar ban ke nikli hain badal di naujawan-e-hind ne taqdir zindan ki mujahid ki nazar se kat gai zanjir zindan ki kaho hindostan ki jai kaho hindostan ki jai kaho hindostan ki jai
This is a great hindi shayari yaad. True lovers of sabir pak shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore shayari jai hind. Please share if you liked this!!!