agar hum sarhadon par ped ugate kya hum sayon par bhi bandh banate suraj ko kaise dhamkate kya aag lagate pure chand ki pagal koyal jab jab gati kis ko bahkati mere jism ka saya gar wahan pe padta to jurmana lagta phul jo khilte kis ko milte dargah jate ya mandir chadhate phalon ka jab batwara karte kya ladte marte bolo bolo us ke hisse kaise karte pani ko bazar bana kar fauji ko auzar bana kar har shai ko bewpar bana kar pushton ne taron ko khincha hum ne bhi nafrat se sincha par agar hum sarhadon par ped ugate