ye sochta hun jo khuda kabhi didar bakhshega aur apne fazl se dega ijazat mangne ki kuchh to na dastar-o-qaba na jibh-o-khirqa na daulat na mahal na sar pe taj mangunga na ohda-o-mansab na koi jah-o-jalal na ilm-o-agahi na masnad na eqtidar mangunga farawani gham se najat na farigh-ul-baali na sehat na shifa na achchhi maut mangunga na takmil-e-arzu ki dua na nafs-e-mutmainna ki na umr-e-khizr na shohrat na khwab ki tabir mangunga na dushmanon ke zarar se na shar se doston ke na kibr-sini na zoaf na lachaari se panah mangunga na duniya jahan ki khushiyan na shan-o-shaukat hi na khush-nasibi na dil ka chain na sukun-e-ruh mangunga na khush-gawar raaten na tul-e-shabab na nind na aaghosh-e-mahbub na saman-e-aish-o-tarab na hur-o-qusur mangunga na ruswai se bachne ki na izzat aabru ki khwahish hai na shohrat-o-maqbuliyat na achchhi image mangunga na qarz ke bojh na khauf na dahshat se na kisi ke jabr se na zulm se hifazat ki dua mangunga ab aap sochte honge ki ye bawla ye diwana ye pagal shakhs na jaane aakhir khuda se kya mangega so mere hamdam mere dosto mere yaro zara qarib aao aao bataun raaz tumhein dukhi dil ka main khuda-e-qadir-e-mutlaq rahim-o-akram se junun-e-mazhabi ke khatme aur amn ki faza mangunga