meri bitiya tujhe bhi main ne janma tha usi dukh se ki jis dukh se tere bhai ko janma tujhe bhi main ne apne tan se wabasta rakha utni hi muddat tak ki jab tak tere bhai ko mere tan ke har ek dukh-sukh mein tum donon ka hissa ek jaisa madar-e-fitrat ne rakkha tha magar tu jis ghadi dharti pe aai wirasat bantne walon ne apna faisla likkha tujhe mujh se shikayat hai ki main ne pyar ki taqsim mein tafriq barti hai khilaune aur aansu ka jo batwara hua aksar tere hisse mein aansu aae hain pyari tujhe ye jaan kar hairat to hogi mere hisse ka aksar tar-niwala bhaiyon hi ko mila karta magar man se koi kaise gila karta meri jaan rizq ki taqsim mein tafriq ka qanun to sadiyon purana hai wirasat bantne walon ne jo bhi faisla likkha use hum ne baja samjha baja likkha hamara alamiya ye hai ki apni rah ki diwar hum khud hain ye aurat hai ki jo aurat ke haq mein ab bhi gungi hai ye aurat hai ki jo aurat ki ummidon ki qatil hai to kya tarikh khud ko yunhi dohraati rahegi nahin aisa nahin hoga ye teri jurat-e-izhaar ye biphra hua lahja yaqin mujh ko dilate hain teri beti ko ye shikwa nahin hoga