ahmaqon ki conference

ek khabar hum ne padhi thi kal kisi akhbar mein
ahmaqon ka ek jalsa tha kahin bazar mein
har namune ka chughad hazir tha is darbar mein
jaise har type ka aashiq kucha-e-dildar mein
tha har ek mehman yahan na-khwanda o khud-sakhta
koi un mein sahib-e-dil tha koi dil-bakhta
sab se pahle ek bada ahmaq hua yun shoala-bar
gentleman and ladies aar what ewer yu aar
aaj aasab-e-watan par aql-o-danish hain sawar
khatm hota ja raha hai ahmaqon ka eqtidar
ahmaqo jago tumhaari aabru khatre mein hai
jis ke sakin ho wo shahr-e-arzu khatre mein hai
har himaqat ka koi mafhum hona chahiye
kyun himaqat ki gai malum hona chahiye
aadmi ko aql se mahrum hona chahiye
kya zarurat hai huma ki bum hona chahiye
is liye hum ne banaya hai ye manifesto
man tera ahmaq bagoyam tu mera ahmaq bago
bhulti jati hai duniya ab ye qaul-e-mustanad
aql chun pukhta shawad insan ahmaq mi shawad
fitratan ahmaq ho jo insan nahin hota wo bad
wo himaqat sab se achchhi kuchh nahin ho jis ki had
kuchh sahi ek khar mohabbat us ka nasabulein hai
wo bhi us insan se achchha hai jo business-main hai
ab raha ye masala kapde nahin hain apne pas
is ke bare mein resolution kiya jaega pas
atlas o kim-khwab ko hum nahin aaenge ras
sab se achchha hai ki pahnen log patton ka libas
nariyal aur kele ka pata ho ya ingir ka
qudrati ho pairahan har paikar-e-taswir ka
This is a great shayari and images hindi. True lovers of shayari type status will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore ahmad faraz sher o shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close