ai dil-e-afsurda

ai dil-e-afsurda pine ki bahaaren aa gain
kali kali badliyan phir aasman par chha gain

daman-e-kohsar se thandi hawa aane lagi
nabz-e-khas mein zindagi ka khun daudane lagi

motiye ke phul gulzaron mein lahrane lage
lala-o-nasrin ke jalwe rang par aane lage

hai kanar-e-ab-e-dariya mah-paron ka hujum
jis tarah shadab raaton mein sitaron ka hujum

kale kale aanchalon mein un ke chehre nur-pash
gahre gahre baadalon mein bijliyon ka irtiash

gul-badan gul-pairahan mahtab-rukh naz-afrin
dilrubai ki adakari mein eajaz-afrin

kuchh lagawat kuchh haya kuchh shokhiyan kuchh iztirab
apne sae se gurezan apne sae se hijab

dilbari ke sab tariqe sadgi ke rang hain
sadgi ke sab tariqe dilbari ke rang hain

ai dil-e-afsurda ai kam-bakht ai hasrat-nasib
ai fareb-e-husn ke pamal ai furqat-nasib

tu hai aur us be-wafa ki bewafai ke gile
bewafai ke gile dard-e-judai ke gile

har taraf ek aalam-e-kaif-o-tarab chhaya hua
aur tu ai bad-nasib-e-shauq murjhaya hua

kaise kaise mah-jabin hain nur-paikar barq-tab
dil-nawazi ke liye betab hai jin ka shabab

in hasinon ke ishaaraat-e-mohabbat dil-faroz
jin ke jalwe dilruba hain jin ki talat dil-faroz

dilbari ke kaise kaise nukta-dan maujud hain
sajda karna ho to kitne aastan maujud hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close