ai dil-e-betab Thahar

tirgi hai ki unmadti hi chali aati hai
shab ki rag rag se lahu phut raha ho jaise
chal rahi hai kuchh is andaz se nabz-e-hasti
donon aalam ka nasha tut raha ho jaise
raat ka garm lahu aur bhi bah jaane do
yahi tariki to hai ghaza-e-rukhsar-e-sahar
subh hone hi ko hai ai dil-e-betab thahar
abhi zanjir chhanakti hai pas-e-parda-e-saz
mutlaq-ul-hukm hai shiraaza-e-asbab abhi
saghar-e-nab mein aansu bhi dhalak jate hain
laghzish-e-pa mein hai pabandii-e-adab abhi
apne diwanon ko diwana to ban lene do
apne mai-khanon ko mai-khana to ban lene do
jald ye satwat-e-asbab bhi uth jaegi
ye giran-bari-e-adab bhi uth jaegi
khwah zanjir chhanakti hi chhanakti hi rahe
This is a great sharabi nasha shayari. True lovers of ghazal shayari fb will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this royal thakur shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close