chatanen bol sakti hain chatanen raaz apne khol sakti hain dikha sakti hain ye taqdis ki duniya-e-na-paida jahan par fikr-o-fan uzlat-nashin ki khan-qahen hain jahan ehsas ki andhi guphaen hain wo kis ki ungliyan thin jin ke lams-e-sehr-agin ne unhen izn-e-sukhan bakhsha wo kis ki garmi-e-dil thi ki jis ne un ko tan bakhsha yahan har shakhs aaega magar us ko na paega use dhundo wo shayad un chatanon mein chhupa hoga ye pahli shart thi un ke takallum ki ki jo bhi un ke asrar-e-muqaffal dhundne aae wo khud un mein sama jae