na chand-matha na tara-thodi na jhil-ankhen, na phul-lab hain na aanch azm-o-yaqin ki dil mein nuqush-e-rukh itne mit gae hain, nuqush kab hain ai aaine waqt ke! tujhe ek bar bhi ek hasin chehra na de sake hum magar hain hum ab bhi aks tera wo aks hi to hamara sach hai hamari aankhen bujhi hui hain magar yahi to hain teri aankhen hamare chehre sute hue hain, magar yahi to hai tera chehra hamare aansu hain tere aansu, hamare dukh sare tere dukh hain ki tu bhi sach bolne ka aadi hai, hum bhi aadi hum apne chehre, hum apne baatin sanwar lenge hamari aankhon mein dekh apne hasin farda ka ek hayula ki chand matha hai, tara thodi hai, jhil aankhen hain, phul lab hain hasin hain ham, hasin hai tu hasin sab hain
This is a great ankhen shayari in hindi. True lovers of maa shayari sad will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore cute shayari for him. Please share if you liked this!!!