ye lafz suqraat lafz isa main in ka khaliq ye mere khaliq yahi azal hain yahi abad hain yahi zaman hain yahi makan hain ye zehn-ta-zehn rah-guzar hain ye ruh-ta-ruh ek safar hain sadaqat-e-asr bhi yahi hain karahat-e-jabr bhi yahi hain alamat-e-dard bhi yahi hain karamat-e-sabr bhi yahi hain baghair tafriq-e-rang-o-mazhab zamin zamin in ki baadshahi khinche hue hain lahu lahu mein bichhe hue hain zaban zaban par ye jhut bhi hain ye lut bhi hain ye jang bhi hain ye khun bhi hain magar ye majburiyan hain in ki baghair in ke hayat sari tawahhumati har ek harakat sukut thahre na kah saken kuchh na sun saken kuchh har ek aaina apni akkasiyon pe hairan ho aur chup ho nigah-e-nazzara-bin tamasha ho wahshaton ka ijazat-e-jalwa de ke jaise zaban se goyai chhin li jae na husn kuchh ho na ishq kuchh ho tamam ehsas ki hawaen tamam irfan ke jazire tamam ye ilm ke samundar sarab hon wahm hon guman hon ye lafz tesha hain jin se afkar apni surat tarashte hain masih-e-dast-o-qalam se niklen to phir ye alfaz bolte hain yahi musawwir yahi hain but-gar yahi hain shaer yahi mughanni yahi nawa hain yahi payambar yahi khuda hain main kimiya hun ye kimiya-gar ye mera kalyan chahte hain main in ki taskhir kar raha hun ye meri tamir kar rahe hain
Please share if you liked this!!!