kisi se khwab mein 'iqbaal' ne ye farmaya ki tu ne kar diya barbaad mera sarmaya mera kalam gawayyon ko saunpne wale nazar na aae tujhe mere qalb ke chhaale main chahta tha musalman muttahid ho jaen ye kab kaha tha ki hum bahr-e-munjamid ho jaen meri ye shan ki dariya bhi tha mera muhtaj tera ye haal ki mulkon se mangta hai khiraj kaha tha main ne gharibi mein nam paida kar ye kab kaha tha ki mal-e-haram paida kar mera tariq amiri nahin faqiri hai teri khurak chapati nahin khamiri hai ilaj aatish-e-rumi ke soz mein hai tera khayal shabnam o zeba ke pose mein hai tera mere kalam se tujh ko sabaq zara na mila kahan ki rah-e-haram ghar ka rasta na mila khudi buland ho be-shak yahi thi meri rae ye kab kaha tha ki qawwal is mein hath lagae
This is a great pyar me shak shayari. True lovers of qawwali shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this tariq jameel ki shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!