kai sal hue meri zindagi khizan-alud viran sadkon pattharon se bani tarik khali galiyon sunsan jangalon aur jade mein jamte kale dariyaon ke kinare guzar rahi hai wahi dariya jin mein main ne aqidaton mein bandhe kai tawiz samjhaute ke nam par baha diye wahi sadken jin ki virani ke sipurd main ne mohabbaton mein bandhe kai wade kiye wahi galiyan jin ke pattharon pe main ne khwahish ki har shakl tod di wahi jangal jis ki khamoshi mein main ne har sadai ki dua dafna di magar kale dariya akasr mujhe aaina dikhane aate hain jis mein yaad-dashton se ubharte chehron ke naqshe bante hain phir mausami barishon ka koi rela aata hai aur sabhi guzashtagan ko palak jhapke baha le jata hai phir tanhai ke sahilon par mere pair honiyon ki baqiyat se takraate hain kuchh wajud makhmalin ehsas bakhshte hain baqi ke asbab panw mein khar ki tarah chubhte hain nange panw zindagi guzarna aasan nahin ki ruh ki fana ka amal kahte hain panw ke anguthe se shurua hoga jaan nikalne ka manzar-nama jitna bhi haul-nak ho kuchh ruhen kabhi fana nahin hotin aur bechaini un mein panah dhund leti hai