main ek kahani kahna chahta hun lekin lafz gunge ho gae hain aur un ki aankhon par patti bandhi hai git ras aur manzar rang se khali faza mein habs aur dilon mein murdani hai main ek zamane se ye kahani likhna chahta hun lekin lafz gunge ho gae hain aur un ke hath bandhe hain