andheri shab se ek la-hasil

andheri shab ke sharmile moattar kan mein us ne kaha wo shakhs
dur uftada lekin mere dil ki tarah raushan hai
jo mere panw ke talwe hatheli ke gulabi gal mein
kanta sa chubhta hai
jo mere jism ki kheti pe barish ka chhalawa hai
wo jis ki aankh ki qatil
hawas ek muntazir lekin na zahir hone wale phul ki manind
bechaini mein rakhti hai mujhe wo
aane wala hai
magar wo shakhs is shab bhi nahin aaya
bhala tuti kalai se
wo sare khwab sab wade mulaqaton ke paimane
kahan sambhlen
bhala be-nur aankhon mein wo surat
jham jhamati tund josh-e-khun se garmi-e-lab tak tamtamati
kis tarah rukti
andheri raat ne
dekha na kuchh sunna hi chaha us ke gosh-e-nazuk aur chashm-e-siyah masum hote hain
This is a great uff ye garmi shayari. True lovers of josh shero shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore gulabi dress shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close