andheron ke pujari ko ujalon se ho kyon raghbat subh ki narm kirnon se ho in ko kis liye chahat inhen to dip jugnu aur sitaron se bhi nafrat hai inhen to raushni deti kitabon se adawat hai gawara hai inhen bas chand bhi to awwalin shab ka wagarna taq aur ghanghor raaton mein talash-e-rab rahe jari magar ye kya zaban par kalma-e-haq aur aankhon mein ajab wahshat ajab dahshat lahu tari lahu tari musawat-e-tashakhkhus kya ukhuwwat bhai-chaara kya lahu ko chatte khanjar se un ko aur pyara kya mohabbat un ke aage bas gunah hai jo kabira hai shahar pe raj karti wahshaten un ka watira hai magar wo bhul baithe hain usul-e-zindagi hai ki faza mein lahlahati aag ko taza hawaen sard karti hain ho kali raat jitni bhi subh-e-sadiq ka suraj siyahi ki riyasat par nazar jab gad deta hai to phir sawera jagmagata hai khuda bhi muskuraata hai andheron ke pujari jaan len itna hawa na qaid hoti hai na suraj dafn hota hai