bahaar aai ki koi jhumta mastana aata hai ghata aati hai ya udta hua mai-khana aata hai gireban chaak daman tukde tukde tauq gardan mein sar-e-mahshar tera kis shan se diwana aata hai ajab hairat-faza nazzara hai darbar-e-qatil ka liye sar hath mein har ek pai-e-nazrana aata hai kabhi ai 'nur' but-khane ko kabe mein nihan dekha kabhi kabe mein poshida nazar but-khana aata hai