ganw mein sher ka ek shikari bhi tha khata tha dasht ki wo hamesha hawa sher ko us ne qabze mein ek din kiya sham hoti gai badh gaya dhundalka bakriyon ko bhi wo palta tha sada ghas bhi dasht se sath wo lata tha ghas aur bakri bhi us ke hamrah the sher ke sath dekho ye donon chale rah mein un ki pul ek hail hua dhundalka gahra hone laga sham ka pul ke rakhwale ne us ko roka kaha par tum pul ko kar sakte ho barmala sirf ek chiz ko sath le jaoge apni manzil ko phir dekh lo paoge tum jo chaho to wapas bhi aa sakte ho ek shai sath apne bhi la sakte ho soch mein pad gaya ab shikari bahut shart thi waqai aaj bhaari bahut ghas ko sath le jaana mushkil hi tha kyun ki khud sher bakri ko kha jaega han agar sher ko sath le jaunga bakri chaara bana dalegi ghas ka kashmakash mein shikari abhi pad gaya kaise hal hoga hai ye bada masala ab use kuchh samajh mein to aaya nahin sochte sochte jhuk gai thi jabin ek tarkib aakhir ko sujhi use pul se guzra wo ab bachcho bakri liye par bakri ne ai bachcho pul jo kiya ghas ko sher bas sungh kar rah gaya aaya wapas palat kar shikari abhi us ki aankhon mein bachcho chamak jag uthi is taraf sher aur us taraf bakri thi ghas le jaane ki bari ab aa gai ghas ka gattha sath apne wo le gaya sher bas munh shikari ka takta raha ghas ko bakri ke pas us ne rakkha aur bakri ko khud us ne wapas liya is taraf ghas ka sirf gatha raha kyun ki khatra milan sher o bakri ka tha is liye sher ko sath le kar chala sher ko ghas ke pas chhoda gaya sochiye ghas ko sher khaega kya ghas ko sher bas sungh kar rah gaya ab shikari chala bakri lane ko sath ab ke bakri ki rassi pe tha us ka hath ab wo bakri ke hamrah aa hi gaya sher dil mein hi khud ghurraata raha ek jaanib thi bakri to ek samt sher ki nahin ab shikari ne jaane mein der ghas ka gatha sar par shikari ke tha ganw ka apne ab us ne rasta liya yun shikari ne gutthi ko suljha liya un ke jaane ka bhi masala hal hua