subh sawere sadkon par jate unton ke gale mein bolti ghanti ki aawaz hawa ke tiron se zakhmi hai aur kisi ki nazar nahin hai dur safar par gae huon ke raston par an-ginat duaen bichhi hui hain aur kisi ko khabar nahin hai sab dekhe an-dekhe dukh aaseb-zada tahriron ko chehre par milte phirte hain aur kai baras se yun hota hai dariya sona mitti pichhe chhod aate hain sahra ko aabaadi ke sahil par phailate aage badh jate hain rizq ke pichhe bhagti aankhen jismon ke dhanchon mein ulajh gai hain koi bisat-e-waqt pe rakkhe mohron ko chalne se pahle ek nazar in sab chehron par dalta hai phir ek mohara chal deta hai dur pahadon ke us jaanib jalta suraj raat ke khemon mein chup baitha aane wale kal ki babat soch raha hai