asaDh

kitni garmi hai ayazan-billah
zer-jamon ke tale jism ke har goshe mein

chipchpata hai pasine ka namak
garm purab ki umasti hui martub hawa

apne namnak lapakte hun hathon se jise
pur-shikan bhige hue simte hue aanchal mein

jazb kar sakti nahin aur bhigo deti hai
aur hamsae ke matbakh ki khuli khidki se

ek bhulaste hue baigan ki charand aati hai
basi hoti hui machhli ki bisand aati hai

kitni garmi hai ayazan-billah
baadal umde hue har samt se kale baadal

saiqa shor garaj tez hawa
lijiye lijiye pani tapka

lijiye tut ke pani barsa
lijiye thandi hawa chalne lagi

hijr ki raat ko sahlati hui
aur tanhai ko aaghosh mein bahlati hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close