main apni qimti chizen bhi aksar bhul jati hun kahin bhi ja ke thahrun main kisi ke pas bhi jaun kabhi terrace kabhi aangan kabhi kamre mein bhi aksar kuchh apni pichhli yaadon ko kabhi kuchh chand raaton ko aur aksar adh-bune se kuchh adhure khwab ke guchchhe wahin par chhod aati hun main aksar bhul jati hun wo jo main aakhiri mausam mein tum se milne aai thi to kuchh tare chameli ki bahut thodi si wo khushbu mohabbat ke sunahri narm resham se bane be-sakhta jumle yahin par rah gae mere yahan diwar par main ne chamakta chand chhoda tha hansi ke motiyon ki ek mala thi jo tum ne gift mein di thi yahin par rah gai wo bhi main thahrungi nahin mujh ko bas apni qimti chizen hi leni hain tumhein zahmat bahut hogi magar ye sab mujhe de do tumhaare pas to duniya ke ab sare khazane hain main khali hath baithi hun yahi mera asasa hai