banaya hai musawwir ne hasin shahkar aurat ko alag pahchan deta hai kahani-kar aurat ko wo man ho bahan biwi ya ki beti ho suno logo har ek kirdar mein rakkha gaya gham-khwar aurat ko yahi sach-much bana degi tere ghar ko hasin jannat zara tum pyar se karna kabhi sarshaar aurat ko phir ek din un ki qismat mein likhi jati hai ruswai zamane mein samajhte hain jo karobar aurat ko usi ka rup dhaare phir rahi hain kuchh chudelen bhi main aurat hi nahin kahta kisi makkar aurat ko salam un auraton par jo ki maen hain shahidon ki salami pesh karta hun main sau sau bar aurat ko mujhe us waqt 'arshad' kyon meri man yaad aati hai kisi kutiya mein dekhun jab kisi lachaar aurat ko