ghuncha-o-gul ki nikhat churai gai bijliyon ki hararat churai gai gulistan ki hawaon ko dhunka gaya bulbulon ki sadaon ko dhunka gaya barf ko barq paron ko pisa gaya abr ko chand taron ko pisa gaya kohsar-o-gulistan tarashe gae lal-o-yaqut-o-marjaan tarashe gae chandni-raat ka husn chhina gaya kahkashan ke piyale mein gundha gaya zindagani ke rukhsar dhoe gae shadmani ke moti piroe gae aahani shahrahen galai gain shabnami shahrahen bichai gain mah-e-nau ki shuaon ko chhana gaya aasmanon zaminon ko dhoya gaya zamzamon ke samundar khanghaale gae aarzuon ke moti nikale gae dil-nawazi ka jazba ubhaara gaya naujawani ka chehra nikhaara gaya shakh-e-gul ki nazakat ubaali gai narm banhon ke sanche mein dhaali gai aur phir sab ko ek ja milaya gaya gundh kar ek putla banaya gaya muddaton chand-taron mein pala gaya phir wo aurat ke sanche mein dhaala gaya har kali bagh mein raqs karne lagi zehn mein koi surat ubharne lagi ek aawaz aai ki aurat hun main barq hun zalzala hun qayamat hun main sun ke aawaz sajde mein sab jhuk gae aandhiyan tham gain zalzale ruk gae chudiyan si hawa mein khanakne lagin chhagalen si faza mein chhanakne lagin shiddat-e-shauq se aag pani hui kohsaron ki poshak dhani hui narm shakhen chaman mein lachakne lagin aarzuon ki kaliyan chatakne lagin phir wo aawaz ghunghat se aane lagi shiddat-e-shauq ko aazmane lagi aur ghunghat jo rukh se sarakne laga aadmi kya khuda bhi bahakne laga zulf bikhri to shab ka andhera hua muskurai to pahla sawera hua aankh bikhri to shab ka andhera hua muskurai to pahla sawera hua aankh uthai to moti se barsa gai sans li to har ek shai mein jaan aa gai barbat-e-gham se naghme nikalne lage zindagani ke chashme ubalne lage ishq ne badh ke qadmon pe sajda kiya dahr ki samt use phir rawana kiya