bachche ki fariyaad

ai khuda kash main khuda hota
aur tu phir meri jagah hota

tujh ko karta main aise ghar paida
jis ka ghar ho na jis ke bhai bahan

paida karte hi tujh ko main tere
raat ki tarah kale chehre par

gahre chechak ke dagh phailata
aur aankhen bhi chhin leta main

log kahte ki kodiya hai tu
tere hone se chhe baras pahle

bap bhi tera khud-kushi karta
usi foot-path par usi ghar mein

aur man teri pet ki khatir
bech kar jism apna galiyon mein

tere aur apne pet ko bharti
log kahte ki tu hai na-jaez

kya tera dil nahin tadapta phir
aur man teri tane sun sun kar

tujh ko din-raat kosti rahti
paida hone se kash pahle hi

mere bachche tu mar gaya hota
ai khuda kash main khuda hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close