karachi kisi dew-qad kekde ki tarah samundar ke sahil pe panw pasare pada hai nasen us ki faulad-o-ahan badan ret cement patthar basen texiyan karen rickshaw ragon mein lahu ki bajae rawan jism par ja-ba-ja dagh daldal-numa jahan ankabut apne taron se bunte hain bankon ke jal ki un mein shumal aur mashriq se aae hue ishtiha aur khwabon ke mare magas phadphadate rahen mustaqil aalam-e-jaan-kani mein rahen sham hote hi is ki nam-alud aur khurduri khaal se is ke be-dhang aaza se ishwa-faroshon ke pairahanon ki tarah raushni phutti hai ye wo shahr-e-khud-mutmain hai jo apne hi dil ki shaqawat pe shaida raha main chahat ke phulon bhare jangalon se jab aaya to is shahr ki pith majlis ki diwar ki tarah meri taraf thi main shiddat ki tanhai mein aashna harf ka aarzu-mand paiham taghaful se ranjida be-dil yahan ke rusum aur aadab se be-khabar nakhunon se zamin khod kar aansuon ki nami se use sinch kar harf kaliyon ki ummid mein dard bolta raha kai bar main ne samundar ki bhigi hawaon se puchha ki ai khush-nafas rahrawo tum is tarah begana-wash kyun guzarti ho pal bhar ruko koi taskin ka paigham do aur apna ye amrit sa hath dukhe dil pe rakh do pa wo shahr ki sans mein enginon ke dhuen ki kasafat se afsurda aankhen churae guzarti rahin kai bar yun bhi hua hai ki main aur ye shahr ek mushtarak dukh ki zanjir mein bandh gae aur mujhe ye guman sa hua ki ab ajnabiyyat ki diwar girne ko hai abhi us ki namnak aankhen kahengi ki hum ek hain lamha-e-dard ka sath sab se bada sath hai magar main ne dekha ki is waqt bhi us ki pathrai aankhon mein aks-e-shanasai napaid tha aur ab jab main is shahr se ja raha hun to is ki daranti si banhon ke dandane mere rag-o-pai mein utre hue hain