kab tak watan-e-alam-o-masaib mein khudaya ab is ki musibat ko masarrat se badal de kab tak ye tabah-e-sitam-e-nakbat dad-bar ab is ki nahusat ko saadat se badal de kab tak ye shikar-e-alam-e-faqa-o-iflas ab us ki falakat ko imarat se badal de kab tak ye giraftar-e-qital-o-jadal-o-jang ab is ki adawat ko mohabbat se badal de kab tak ye pasheman-e-bala nazr-e-hawadis ab is ke gham-o-ranj ko rahat se badal de kab tak ye parastar-e-wafa waqf-e-khushamad ab is ki itaat ko baghawat se badal de had ho gai bas is ki tabahi ki khudaya ab is ki ghulami ko hukumat se badal de