is kumba-parwar duniya mein bekas ki himayat kaun kare jab ghasib munsif ban jaen insaf ki zahmat kaun kare jo farq samajhte hain ab tak hindi sindhi punjabi mein in aql ke pure logon se ladne ki himaqat kaun kare jo lut kar aae hain un ko sabr aate aate aaega lekin is behis duniya mein ehsas-e-haqiqat kaun kare kya rahna aisi basti mein har baat jahan ki ulti ho jab baz hi khet ka dushman ho phir is ki hifazat kaun kare malum ye hota hai ab tak yusuf ke baradar zinda hain jab apne dushman ho jaen ghairon ki shikayat kaun kare in khate-pite logon se ye baat koi puchhe ja kar zardaron ki dawat tum ne ki nadar ki dawat kaun kare mahlon ke sunahri pardon mein har aib hunar ban jata hai lekin in daulat-mandon ko jhutlane ki jurat kaun kare hum sab kuchh kar sakte hain magar ye soch ke phir rah jate hain tum lakh bure ho apne ho apnon se baghawat kaun kare