bahut ladte ho tum main bhi tunuk-tabi mein khasi fard hun so khub jamti hai baham apni main mushkil raston ki gard palkon par sanbhaale aai hun tum tak mere nazdik ke har mantaqe mein tum bhi apne baalon ki chandi pe itraate paraganda mizaji mein gundhe ukhde hue taron ki pagdandi ke dil mein ghumte ho mohabbat ki bhadak lafzon mein kam aankhon ki halchal mein ziyaada le ke phirti hun mere nokile lahje ki chubhan ke us taraf dil ki bahut hi reshmi had tak tumhaari aankh jati hai talluq mein rawadari ka nam jaane kahan se aata hai aur aa ke hum donon ki aawezish ki sab munh-zoriyan zanjir karta hai suno sab guftugu ke silsile meri tumhaari khamushi ki bhig se sarsabz rahte hain meri nazmon ka markaz aaj ke pal ki sajal duniya mein bas tum ho tumhi se barsar-e-paikar hun aur be-tahasha multafit bhi tum ta'aruz ke gudazon mein mujhe dekho main apne dil ke tausan ko bahut sarpat bhagati khak ke tufan jagati jis gulistan ki tamanna ki dagar par ja rahi hun us ki had par tum us ki had par tum kahin ek ped ke pahlu mein dil ban kar dhadakte ho kahin fitrat ke pech-o-tab mein zanjir ho aur dhup ki yalghaar mein mere liye chhanw ka ek na-mukhtatim ehsas bante ho bahut hi dur se bas tum hi mujh ko saf sunte ho